wafa ki manzilon ko ham ne is tarah saja liya | वफ़ा की मंज़िलों को हम ने इस तरह सजा लिया

  - Wafa Siddiqui

wafa ki manzilon ko ham ne is tarah saja liya
qadam qadam pe ik charaagh-e-aarzoo jala liya

rah-e-hayaat mein hazaar uljhane raheen magar
tumhaara gham jahaan mila use gale laga liya

hamaare hausale hamaari juraten to dekhiye
qaza ko apni zindagi ka paasbaan bana liya

hazaar baar ham faraaz-e-daar se guzar gaye
hazaar baar ham ne un ka zarf aazma liya

khird to saath de saki na raah-e-ishq mein magar
junoon hi ek tha ki jis ko hum-safar bana liya

phir aaj ahl-e-jaur ko shikast-e-faash ho gai
phir aaj ahl-e-dil ne parcham-e-'wafa utha liya

वफ़ा की मंज़िलों को हम ने इस तरह सजा लिया
क़दम क़दम पे इक चराग़-ए-आरज़ू जला लिया

रह-ए-हयात में हज़ार उलझनें रहीं मगर
तुम्हारा ग़म जहाँ मिला उसे गले लगा लिया

हमारे हौसले हमारी जुरअतें तो देखिए
क़ज़ा को अपनी ज़िंदगी का पासबाँ बना लिया

हज़ार बार हम फ़राज़-ए-दार से गुज़र गए
हज़ार बार हम ने उन का ज़र्फ़ आज़मा लिया

ख़िरद तो साथ दे सकी न राह-ए-इश्क़ में मगर
जुनूँ ही एक था कि जिस को हम-सफ़र बना लिया

फिर आज अहल-ए-जौर को शिकस्त-ए-फ़ाश हो गई
फिर आज अहल-ए-दिल ने परचम-ए-'वफ़ा' उठा लिया

  - Wafa Siddiqui

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wafa Siddiqui

As you were reading Shayari by Wafa Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Wafa Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari