aankh jo nam ho wahi deeda-e-tar mera hai | आँख जो नम हो वही दीदा-ए-तर मेरा है

  - Waheed Akhtar

aankh jo nam ho wahi deeda-e-tar mera hai
mauj-e-gham utthe kahi us ka guhar mera hai

dekh luun main to sitaare hain na dekhoon to dhuaan
kya rasaa itna kaf-e-dast-e-nazar mera hai

samar o gul hain gulistaan-farosho ke liye
aabyaari ke liye khoon-e-jigar mera hai

qasr ho ya ki lahd dono kiraaye ke makaan
roz kehta hai koi aa ke ye ghar mera hai

dasht ki udti hui ret pe likh dete hain log
ye zameen meri ye deewaar ye dar mera hai

is shar-aabaad kharaabe mein kahaan husn-o-jamaal
husn jitna bhi hai sab husn-e-nazar mera hai

maut hai jurat-e-izhaar ki pazmurda-labi
saaz-e-takhliq lab-e-arz-e-hunar mera hai

vo khuda ho to ho main dhoondhne kyun jaaun use
khud hi apna le mujhe badh ke vo gar mera hai

kat ke sar padhte hain nezon pe bhi quraan waheed
juzw-e-tan rah ke bhi chup kis liye sar mera hai

आँख जो नम हो वही दीदा-ए-तर मेरा है
मौज-ए-ग़म उट्ठे कहीं उस का गुहर मेरा है

देख लूँ मैं तो सितारे हैं न देखूँ तो धुआँ
क्या रसा इतना कफ़-ए-दस्त-ए-नज़र मेरा है

समर ओ गुल हैं गुलिस्तान-फ़रोशों के लिए
आबयारी के लिए ख़ून-ए-जिगर मेरा है

क़स्र हो या कि लहद दोनों किरायें के मकाँ
रोज़ कहता है कोई आ के ये घर मेरा है

दश्त की उड़ती हुई रेत पे लिख देते हैं लोग
ये ज़मीं मेरी ये दीवार ये दर मेरा है

इस शर-आबाद ख़राबे में कहाँ हुस्न-ओ-जमाल
हुस्न जितना भी है सब हुस्न-ए-नज़र मेरा है

मौत है जुरअत-ए-इज़हार की पज़मुर्दा-लबी
साज़-ए-तख़लीक़ लब-ए-अर्ज़-ए-हुनर मेरा है

वो ख़ुदा हो तो हो मैं ढूँडने क्यूँ जाऊँ उसे
ख़ुद ही अपना ले मुझे बढ़ के वो गर मेरा है

कट के सर पढ़ते हैं नेज़ों पे भी क़ुरआन 'वहीद'
जुज़्व-ए-तन रह के भी चुप किस लिए सर मेरा है

  - Waheed Akhtar

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waheed Akhtar

As you were reading Shayari by Waheed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Waheed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari