ai khuda ai khuda
main hoon masroof-e-tasbeeh-o-hamd-o-sanaa
go b-zaahir ibadat ki aadat nahin hai
rind-mashrab hoon zohd-o-riyaazat se raghbat nahin hai
magar jab bhi chalta hai mera qalam
jab bhi khulti hai meri zabaan
kuchh kahoon kuchh likhoon
teri takhleeq ka zamzama muddaa muntaha
harf jud kar banen lafz to karte hain teri hamd-o-sana
ya khuda ya khuda
mere itaraaf hain pet khaali badan-e-neem-jaan
koi takta hai jab mera dast-e-tahee
sharm aati hai mujh ko khuda-e-ghanee
sochta hoon main apni zabaan rehan rakh doon kahi
rizq se khaali peton ko bhar doon
jo hain neem-jaan un mein jaan phoonk doon
aur apne liye thodi aasaaishein mol le aaun bazaar se
apne bacchon ki zid poori kar doon
jo waqif nahin hain maiishat ke andaaz-o-raftaar se
phir yahi sochta hoon
khuda ai khuda
kya zabaan rehan ho kar bhi teri itaaat karegi
kya qalam bik ke bhi naam tera hi lega
doosron ko khuda maan kar
vo na karne lagen maa-siwaa ki bhi hamd-o-sana
ai khuda ai khuda hai dua
aakhiri saans tak
ye qalam ye zabaan
likhte rahte hain la-ilaha
ऐ ख़ुदा ऐ ख़ुदा
मैं हूँ मसरूफ़-ए-तस्बीह-ओ-हम्द-ओ-सना
गो ब-ज़ाहिर इबादत की आदत नहीं है
रिंद-मशरब हूँ ज़ोहद-ओ-रियाज़त से रग़बत नहीं है
मगर जब भी चलता है मेरा क़लम
जब भी खुलती है मेरी ज़बाँ
कुछ कहूँ कुछ लिखूँ
तेरी तख़्लीक़ का ज़मज़मा मुद्दआ मुंतहा
हर्फ़ जुड़ कर बनें लफ़्ज़ तो करते हैं तेरी हम्द-ओ-सना
या ख़ुदा या ख़ुदा
मेरे अतराफ़ हैं पेट ख़ाली बदन-ए-नीम-जाँ
कोई तकता है जब मेरा दस्त-ए-तही
शर्म आती है मुझ को ख़ुदा-ए-ग़नी
सोचता हूँ मैं अपनी ज़बाँ रेहन रख दूँ कहीं
रिज़्क़ से ख़ाली पेटों को भर दूँ
जो हैं नीम-जाँ उन में जान फूँक दूँ
और अपने लिए थोड़ी आसाइशें मोल ले आऊँ बाज़ार से
अपने बच्चों की ज़िद पूरी कर दूँ
जो वाक़िफ़ नहीं हैं मईशत के अंदाज़-ओ-रफ़्तार से
फिर यही सोचता हूँ
ख़ुदा ऐ ख़ुदा
क्या ज़बाँ रेहन हो कर भी तेरी इताअत करेगी
क्या क़लम बिक के भी नाम तेरा ही लेगा
दूसरों को ख़ुदा मान कर
वो न करने लगें मा-सिवा की भी हम्द-ओ-सना
ऐ ख़ुदा ऐ ख़ुदा है दुआ
आख़िरी साँस तक
ये क़लम ये ज़बाँ
लिखते रहते हैं ला-इलाहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waheed Akhtar
our suggestion based on Waheed Akhtar
As you were reading Urdu Shayari Shayari