bahaar ki ye dil-aawez shaam | बहार की ये दिल-आवेज़ शाम

  - Wali Alam Shaheen

bahaar ki ye dil-aawez shaam
jis ki taraf
qadam uthaaye hain main ne
ki us se haath milaaun
aur ik shagufta shanaasaai ki bina rakhoon
phir apni khaana-badoshi ki mushtarik lay par
use gulaab-b-kaf khema-e-junoon tak laaun
kuchh us ki khair khabar poochoon
aur kuchh apni kahoon
kahoon ki kitne hi patjhad ke mausam aaye gaye
magar in aankhon ki sahar-ul-bayaaniyaan na gaeein
kahoon ki garche anaasir ne tohmaten baandhiin
junoon zadoon ki magar sakht-jaaniyaan na gaeein
kahoon ki ek hain andeshe sab mere tere
kahoon alag nahin jeene ke dhab mere tere
kahoon ki ek se hain roz-o-shab mere tere
kahoon ki milte hain naam-o-nasab mere tere
kahoon azal se junoon kaarobaar apna hai
hazaar jabr ho kuchh ikhtiyaar apna hai

बहार की ये दिल-आवेज़ शाम
जिस की तरफ़
क़दम उठाए हैं मैं ने
कि उस से हाथ मिलाऊँ
और इक शगुफ़्ता शनासाई की बिना रक्खूँ
फिर अपनी ख़ाना-बदोशी की मुश्तरक लय पर
उसे गुलाब-ब-कफ़ ख़ेमा-ए-जुनूँ तक लाऊँ
कुछ उस की ख़ैर ख़बर पूछूँ
और कुछ अपनी कहूँ
कहूँ कि कितने ही पतझड़ के मौसम आए गए
मगर इन आँखों की सहर-उल-बयानियाँ न गईं
कहूँ कि गरचे अनासिर ने तोहमतें बाँधीं
जुनूँ ज़दों की मगर सख़्त-जानियाँ न गईं
कहूँ कि एक हैं अंदेशे सब मिरे तेरे
कहूँ अलग नहीं जीने के ढब मिरे तेरे
कहूँ कि एक से हैं रोज़-ओ-शब मिरे तेरे
कहूँ कि मिलते हैं नाम-ओ-नसब मिरे तेरे
कहूँ अज़ल से जुनूँ कारोबार अपना है
हज़ार जब्र हो कुछ इख़्तियार अपना है

  - Wali Alam Shaheen

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wali Alam Shaheen

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari