pehle raatein itni lambi kab hoti theen | पहले रातें इतनी लम्बी कब होती थीं

  - Wali Alam Shaheen

pehle raatein itni lambi kab hoti theen
jo bhi hisaab aur khel hua karta tha
sab mausam ka tha
roz-o-shab ki har sa'at ka ik jaisa paimaana tha
apne milne waale saare
jhoote sacche
yaaron se ik mustahkam yaaraana tha
lekin
apne dard ki samton ki pehchaan na rakhne waale dil
ye sochna tha
har khwaab ki qeemat hoti hai
aur ab in do aankhon mein itne
tarah tarah ke
duniya bhar ke khwaab bhare hain
in mein se ik ik ko gin kar
sab ke munaasib daam chukaana
is ke liye to do sadiyaan bhi kam hongi

kangale
itni naqdi kahaan se aayegi

पहले रातें इतनी लम्बी कब होती थीं
जो भी हिसाब और खेल हुआ करता था
सब मौसम का था
रोज़-ओ-शब की हर साअ'त का इक जैसा पैमाना था
अपने मिलने वाले सारे
झूटे सच्चे
यारों से इक मुस्तहकम याराना था
लेकिन
अपने दर्द की सम्तों की पहचान न रखने वाले दिल
ये सोचना था
हर ख़्वाब की क़ीमत होती है
और अब इन दो आँखों में इतने
तरह तरह के
दुनिया भर के ख़्वाब भरे हैं
इन में से इक इक को गिन कर
सब के मुनासिब दाम चुकाना
इस के लिए तो दो सदियाँ भी कम होंगी

कंगले
इतनी नक़दी कहाँ से आएगी

  - Wali Alam Shaheen

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wali Alam Shaheen

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari