"Alif laila"
thak gai raat masakne laga ghaaza ka fusoon
sard padne lagin gardan mein hamaail baanhe
farsh bistar pe bikharna lage afshaan ke charaagh
muzmahil si nazar aane lagin ishrat-gaahein
zindagi kitne hi veeraanon mein dam tod chuki
ab bhi milti hain magar gham ki fasurda raahen
jis tarah taq mein jal bujhti hain shamon ki qataar
zulmat-e-shab mein jagati hui kaashaanon ko
ban ke rah jaati hai ta-subh patangon ka mazaar
khoon ke harfon mein tahreer hai deewaron par
in ghishte hue ajsaam ke ambaaron mein
dard ke rukh ko palat dene ka maqdoor nahin
fikr ghabraai hui phirti hai bazaaron mein
umr ik sail-e-afuunat hai badar-roo ki misaal
zeest ik cha-b-cha sarta hua gadla paani
jis se sairaab hua karte hain khanjeer o shagaal
waqt ki jaltee hui raakh se jhulse hue paanv
ki ghani chaanv mein baithe hue dil
karb-e-maazi ke giran bojh se doobi nabzein
laakh chahein pe ubharne ka gumaan la-haasil
ek mauhoom si hasrat mein jiye jaate hain
naam hi naam masarrat ka liye jaate hain
apni be-khwab tamannaa ka fasana hai yahi
kal ki shab aur nayi aur nayi shab hogi
zindagi hogi nayi aur kahaani bhi nayi
sabr ai dost ki zulmat ki ghadi beet gai
thak gai raat masalne laga ghaaza ka fusoon
sard padne lagin gardan mein hamaail baanhe
"अलिफ़ लैला"
थक गई रात मसकने लगा ग़ाज़ा का फ़ुसूँ
सर्द पड़ने लगीं गर्दन में हमाइल बाँहें
फ़र्श बिस्तर पे बिखरने लगे अफ़्शाँ के चराग़
मुज़्महिल सी नज़र आने लगीं इशरत-गाहें
ज़िंदगी कितने ही वीरानों में दम तोड़ चुकी
अब भी मिलती हैं मगर ग़म की फ़सुर्दा राहें
जिस तरह ताक़ में जल बुझती हैं शम्ओं की क़तार
ज़ुल्मत-ए-शब में जगाती हुई काशानों को
बन के रह जाती है ता-सुब्ह पतंगों का मज़ार
ख़ून के हर्फ़ों में तहरीर है दीवारों पर
इन घिसटते हुए अज्साम के अम्बारों में
दर्द के रुख़ को पलट देने का मक़्दूर नहीं
फ़िक्र घबराई हुई फिरती है बाज़ारों में
उम्र इक सैल-ए-अफ़ूनत है बदर-रू की मिसाल
ज़ीस्त इक चा-ब-चा सड़ता हुआ गदला पानी
जिस से सैराब हुआ करते हैं ख़िंज़ीर ओ शग़ाल
वक़्त की जलती हुई राख से झुलसे हुए पाँव
की घनी छाँव में बैठे हुए दिल
कर्ब-ए-माज़ी के गिराँ बोझ से डूबी नब्ज़ें
लाख चाहें पे उभरने का गुमाँ ला-हासिल
एक मौहूम सी हसरत में जिए जाते हैं
नाम ही नाम मसर्रत का लिए जाते हैं
अपनी बे-ख़्वाब तमन्ना का फ़साना है यही
कल की शब और नई और नई शब होगी
ज़िंदगी होगी नई और कहानी भी नई
सब्र ऐ दोस्त कि ज़ुल्मत की घड़ी बीत गई
थक गई रात मसलने लगा ग़ाज़ा का फ़ुसूँ
सर्द पड़ने लगीं गर्दन में हमाइल बाँहें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Wamiq Jaunpuri
our suggestion based on Wamiq Jaunpuri
As you were reading Budhapa Shayari Shayari