"Dehli" | "देहली" - Wamiq Jaunpuri

"Dehli"

hamaari majlis-e-shoora ke unche unche mahal
nazar jhukaaye jumood-e-amal se sar bojhal

vo bebaasi ki zara aage badh nahin sakte
kitaab-e-waqt ki tahreer padh nahin sakte

bhadak rahe hain nigaahon ke saamne shole
zabaan na munh mein ho jis ke vo kis tarah bole

ye shahr-e-dilli behisht-e-nazar jo tha kal tak
bana hua hai jahannam zameen se taa-b-falak

siyaah-shole dilon ki siyahiyaan le kar
uthe hain aaj watan ki tabaahiyaan le kar

makaan ko khud hi makeenon ne kar diya barbaad
mita di apne hi haathon se satwat-e-ajdaad

khud apni tegaon se apne hi gardanen kaaten
tadapati laashon se nafrat ki khandaken paaten

tamaam shehar pe chhaai hui hai ik vehshat
nazar jhapakte hi kaisi badal gai haalat

dukanein loot rahi hain goliyon ki baarish hai
siyahkaaron se ahl-e-duval ki saazish hai

darinde daudte firte hain sarti laashon mein
lahu se tar kiye naakhun gosht daanton mein

gharo ka haal to bazaar se bhi bad-tar hai
jidhar uthao nazar zindagi muqaddar hai

jo loot chuke hain vo ghar saayein saayein karte hain
jo jal rahe hain abhi sard aahen bharte hain

nikal pade hain makaanon ko chhod kar shahri
jab aabroo pe ban aayi to maut ki thehri

hazaaron auraton ka aaj loot raha hai suhaag
na jaane kitni tamannaon mein lagi hai aag

yateem bacche bilakte hain godiyon ke liye
gareeb shehar tarsate hain rotiyon ke liye

ujad ke kitne maabid bane siyah-khaane
jo aadmi ko na samjha khuda ko kya jaane

ye haal dekh ke sakte mein aa gai hai faseel
tamaam qile ka maidaan bana hai khoon ki jheel

bahaaye baithi hai aansu lahu ke chaandni-chowk
qarol-baagh ke dil mein qaroliyon ki nok

puraani dili se bhi badh gai nayi dilli
purane qile mein ja kar basi nayi dilli

hazaar baar ye basti ujad ujad ke basi
hazaar baar ye dilli bigad bigad ke bani

magar kuchh ab ki dafa is tarah ke charke hain
ki jitni choten hain utne hi dil ke tukde hain

ye jud to sakte hain lekin kahaan hai vo marham
jo toote rishton ko qaumon ke kar de phir baaham

magar ye kaise ho jab chaarasaaz khud laachaar
ilaaj kaun kare jab tabeeb khud beemaar

hamaari majlis-e-shoora ke unche unche mahal
nazar jhukaaye jumood-e-amal se sar bojhal

"देहली"


हमारी मजलिस-ए-शूरा के ऊँचे ऊँचे महल
नज़र झुकाए जुमूद-ए-अमल से सर बोझल

वो बेबसी कि ज़रा आगे बढ़ नहीं सकते
किताब-ए-वक़्त की तहरीर पढ़ नहीं सकते

भड़क रहे हैं निगाहों के सामने शोले
ज़बाँ न मुँह में हो जिस के वो किस तरह बोले

ये शहर-ए-दिल्ली बहिश्त-ए-नज़र जो था कल तक
बना हुआ है जहन्नम ज़मीं से ता-ब-फ़लक

सियाह-शोले दिलों की सियाहियाँ ले कर
उठे हैं आज वतन की तबाहियाँ ले कर

मकाँ को ख़ुद ही मकीनों ने कर दिया बर्बाद
मिटा दी अपने ही हाथों से सतवत-ए-अज्दाद

ख़ुद अपनी तेग़ों से अपने ही गर्दनें काटें
तड़पती लाशों से नफ़रत की ख़ंदक़ें पाटें

तमाम शहर पे छाई हुई है इक वहशत
नज़र झपकते ही कैसी बदल गई हालत

दुकानें लुट रही हैं गोलियों की बारिश है
सियाहकारों से अहल-ए-दुवल की साज़िश है

दरिंदे दौड़ते फिरते हैं सड़ती लाशों में
लहू से तर किए नाख़ून गोश्त दाँतों में

घरों का हाल तो बाज़ार से भी बद-तर है
जिधर उठाओ नज़र ज़िंदगी मुकद्दर है

जो लुट चुके हैं वो घर साएँ साएँ करते हैं
जो जल रहे हैं अभी सर्द आहें भरते हैं

निकल पड़े हैं मकानों को छोड़ कर शहरी
जब आबरू पे बन आई तो मौत की ठहरी

हज़ारों औरतों का आज लुट रहा है सुहाग
न जाने कितनी तमन्नाओं में लगी है आग

यतीम बच्चे बिलकते हैं गोदियों के लिए
ग़रीब शहर तरसते हैं रोटियों के लिए

उजड़ के कितने मआबिद बने सियह-ख़ाने
जो आदमी को न समझा ख़ुदा को क्या जाने

ये हाल देख के सकते में आ गई है फ़सील
तमाम क़िले का मैदाँ बना है ख़ून की झील

बहाए बैठी है आँसू लहू के चाँदनी-चौक
क़रोल-बाग़ के दिल में क़रोलियों की नोक

पुरानी दिली से भी बढ़ गई नई दिल्ली
पुराने क़िले में जा कर बसी नई दिल्ली

हज़ार बार ये बस्ती उजड़ उजड़ के बसी
हज़ार बार ये दिल्ली बिगड़ बिगड़ के बनी

मगर कुछ अब की दफ़ा इस तरह के चरके हैं
कि जितनी चोटें हैं उतने ही दिल के टुकड़े हैं

ये जुड़ तो सकते हैं लेकिन कहाँ है वो मरहम
जो टूटे रिश्तों को क़ौमों के कर दे फिर बाहम

मगर ये कैसे हो जब चारासाज़ ख़ुद लाचार
इलाज कौन करे जब तबीब ख़ुद बीमार

हमारी मजलिस-ए-शूरा के ऊँचे ऊँचे महल
नज़र झुकाए जुमूद-ए-अमल से सर बोझल

- Wamiq Jaunpuri
0 Likes

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wamiq Jaunpuri

As you were reading Shayari by Wamiq Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Wamiq Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari