agar vo marhala aaye | अगर वो मरहला आए

  - Wazir Agha

agar vo marhala aaye
hawa jab saans lena bhool jaaye
musaafir chalte chalte ruk pade soche
mujhe ab kaun si manzil ko jaana hai
parinda aasmaan par
daayra-dar-daayra udta
safedi ke maha-girdaab ke andar utar jaaye
mundi aankhon mein jab
khwaabon ka ik mauj-e-saagar
ret ki shiknon mein dhal kar
ret ho jaaye
agar vo marhala aaye
to tum apni nazar ki seedh mein takte chale jaana
faqat takte chale jaana
usi maanjhe ki peeli dor ki jaanib
jo apni ibtida aur intiha ke
darmiyaan
ik aakhiri imkaan ban kar rah gai hai

अगर वो मरहला आए
हवा जब साँस लेना भूल जाए
मुसाफ़िर चलते चलते रुक पड़े सोचे
मुझे अब कौन सी मंज़िल को जाना है
परिंदा आसमाँ पर
दायरा-दर-दायरा उड़ता
सफ़ेदी के महा-गिर्दाब के अंदर उतर जाए
मुँदी आँखों में जब
ख़्वाबों का इक मौज-ए-सागर
रेत की शिकनों में ढल कर
रेत हो जाए
अगर वो मरहला आए
तो तुम अपनी नज़र की सीध में तकते चले जाना
फ़क़त तकते चले जाना
उसी माँझे की पीली डोर की जानिब
जो अपनी इब्तिदा और इंतिहा के
दरमियाँ
इक आख़िरी इम्कान बन कर रह गई है

  - Wazir Agha

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wazir Agha

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari