saawan | सावन

  - Wazir Agha

saawan
teri bheegi palkein
jhuki hui achhi lagti hain
tap tap girti nirmal boonden
shab bhar teen ki thandi chat par
naazuk si poron se type karti hui
achhi lagti hain
gaye dinon ke naam
mo'attar khat likhti achhi lagti hain
chat ke neele kaaghaz ke neeche main khud bhi
jaise ik maila sa kora kaaghaz hoon
mere badan par
poron ki meethi zarbon se
lafzon ke saaye utre hain
khat ke saare shabd mujhe pehchaan gaye hain
kya likkha hai
kya jaanoon main kya likkha hai
kaun si aisi anhoni si baat thi jis ne
barson pehle
na kehne ke pallu se khud ko baandha tha
aur phir dil ki doli mein mahboos hui thi
itne lambe bojhal saalon
khud se bhi vo chhupi rahi thi
aaj use kis majboori ne
lafzon ke lab choo lene par ukasaaya hai
gaye dinon ke naam ye naama likhwaayaa hai
saawan ka ye aakhiri din hai
kal jab bhaadon aa jaayega
teen ki chat par apne ujle par failaana
aane waali surkh rutoon ke
khwaabon mein jab kho jaayega
sab aawaazen tham jaayengi
palkein thak kar so jaayengi
gaye dinon ka naam
manon mitti ke neeche dab jaayega
agla saawan kab aayega

सावन
तेरी भीगी पलकें
झुकी हुई अच्छी लगती हैं
टप टप गिरती निर्मल बूँदें
शब भर टीन की ठंडी छत पर
नाज़ुक सी पोरों से टाइप करती हुई
अच्छी लगती हैं
गए दिनों के नाम
मोअ'त्तर ख़त लिखती अच्छी लगती हैं
छत के नीले काग़ज़ के नीचे मैं ख़ुद भी
जैसे इक मैला सा कोरा काग़ज़ हूँ
मेरे बदन पर
पोरों की मीठी ज़र्बों से
लफ़्ज़ों के साए उतरे हैं
ख़त के सारे शब्द मुझे पहचान गए हैं
क्या लिक्खा है
क्या जानूँ मैं क्या लिक्खा है
कौन सी ऐसी अनहोनी सी बात थी जिस ने
बरसों पहले
न कहने के पल्लू से ख़ुद को बाँधा था
और फिर दिल की डोली में महबूस हुई थी
इतने लम्बे बोझल सालों
ख़ुद से भी वो छिपी रही थी
आज उसे किस मजबूरी ने
लफ़्ज़ों के लब छू लेने पर उकसाया है
गए दिनों के नाम ये नामा लिखवाया है
सावन का ये आख़िरी दिन है
कल जब भादों आ जाएगा
टीन की छत पर अपने उजले पर फैलाना
आने वाली सुर्ख़ रुतों के
ख़्वाबों में जब खो जाएगा
सब आवाज़ें थम जाएँगी
पलकें थक कर सो जाएँगी
गए दिनों का नाम
मनों मिट्टी के नीचे दब जाएगा
अगला सावन कब आएगा

  - Wazir Agha

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wazir Agha

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari