khuda hisson mein kisne baanti zameen
tu mahdood kar de sarkati zameen
zameen ishq karti hai mahtaab se
amaavas ki shab mein tadpati zameen
kabhi chaand milne ko aata hai paas
kabhi chaand ke paas jaati zameen
nahin sochta koi unke liye
kisaano ko bahla ke looti zameen
bahut unchi hai ye imarat suno
khadi hai jahaan pe hai kiski zameen
zameen dil ki jabse hui regzaar
bahaaron ke bin ab machalti zameen
sanam bewafaai ka hai ye sabab
hila di hai tumne to meri zameen
ख़ुदा हिस्सों में किसने बाँटी ज़मीं
तू महदूद कर दे सरकती ज़मीं
ज़मीं इश्क़ करती है महताब से
अमावस की शब में तड़पती ज़मीं
कभी चाँद मिलने को आता है पास
कभी चाँद के पास जाती ज़मीं
नहीं सोचता कोई उनके लिए
किसानों को बहला के लूटी ज़मीं
बहुत ऊँची है ये इमारत सुनो
खड़ी है जहाँ पे है किसकी ज़मीं
ज़मीं दिल की जबसे हुई रेगज़ार
बहारों के बिन अब मचलती ज़मीं
सनम बेवफ़ाई का है ये सबब
हिला दी है तुमने तो मेरी ज़मीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manish Kumar Gupta
our suggestion based on Manish Kumar Gupta
As you were reading Raat Shayari Shayari