gazab ki dhoom shabistaan-e-rozgaar mein hai
kashish bala ki tamaasha-e-naagawaar mein hai
dikhaai aaj hi aankhon ne soorat-e-farda
khizaan ki sair bhi hangaama-e-bahaar mein hai
ghubaar ban ke liptati hai daaman-e-dil se
mite pe bhi wahi dil-bastagi bahaar mein hai
dua-e-shauq kuja ek haath hai dil par
aur ek haath garebaan-e-taar-e-taar mein hai
hanooz gosh-bar-awaaz gair hai koi
umeed-waar-e-azl ab tak intizaar mein hai
qasam hai waada-e-sabr-aazma-e-jaanaan ki
ki lazzat-e-abdi hai to intizaar mein hai
dava mein aur dua mein to ab asar ma'aloom
bas ik umeed-e-asar zabt-e-naagawaar mein hai
chale-chalo dil-e-deewaana ke ishaare par
muhaal-o-mumkin to sab us ke ikhtiyaar mein hai
ग़ज़ब की धूम शबिस्तान-ए-रोज़गार में है
कशिश बला की तमाशा-ए-नागवार में है
दिखाई आज ही आँखों ने सूरत-ए-फ़र्दा
ख़िज़ाँ की सैर भी हंगामा-ए-बहार में है
ग़ुबार बन के लिपटती है दामन-ए-दिल से
मिटे पे भी वही दिल-बस्तगी बहार में है
दुआ-ए-शौक़ कुजा एक हाथ है दिल पर
और एक हाथ गरेबान-ए-तार-ए-तार में है
हनूज़ गोश-बर-आवाज़ ग़ैर है कोई
उमीद-वार-ए-अज़ल अब तक इंतिज़ार में है
क़सम है वादा-ए-सब्र-आज़मा-ए-जानाँ की
कि लज़्ज़त-ए-अबदी है तो इंतिज़ार में है
दवा में और दुआ में तो अब असर मा'लूम
बस इक उमीद-ए-असर ज़ब्त-ए-नागवार में है
चले-चलो दिल-ए-दीवाना के इशारे पर
मुहाल-ओ-मुम्किन तो सब उस के इख़्तियार में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yagana Changezi
our suggestion based on Yagana Changezi
As you were reading Musafir Shayari Shayari