maza gunaah ka jab tha ki ba-wazoo karte | मज़ा गुनाह का जब था कि बा-वज़ू करते

  - Yagana Changezi

maza gunaah ka jab tha ki ba-wazoo karte
buton ko sajda bhi karte to qibla-roo karte

kabhi na parvarish-e-nakhl-e-aarzoo karte
numoo se pehle jo andesha-e-numoo karte

sunen na dil se to phir kya padi thi khaaron ko
ki gul ko mehram-e-anjaam-e-rang-o-boo karte

gunaah tha bhi to kaisa gunaah-be-lazzat
qafas mein baith ke kya yaad-e-rang-o-boo karte

bahaana chahti thi maut bas na tha apna
ki mezbaani-e-mehmaan-e-heela-e-ju karte

daleel-e-raah dil-e-shab charaagh tha tanhaa
buland-o-past mein guzri hai justuju karte

azal se jo kashish-e-markazi ke the paaband
hawa ki tarah vo kya sair chaar-soo karte

falak ne bhool-bhulaiyyon mein daal rakha tha
ham un ko dhoondte ya apni justuju karte

aseer-e-haal na murdon mein hain na zindon mein
zabaan kattee hai aapas mein guftugoo karte

panaah milti na umeed-e-be-wafa ko kahi
havas-naseeb agar tark-e-aarzoo karte

मज़ा गुनाह का जब था कि बा-वज़ू करते
बुतों को सज्दा भी करते तो क़िबला-रू करते

कभी न परवरिश-ए-नख़्ल-ए-आरज़ू करते
नुमू से पहले जो अंदेशा-ए-नुमू करते

सुनें न दिल से तो फिर क्या पड़ी थी ख़ारों को
कि गुल को महरम-ए-अंजाम-ए-रंग-ओ-बू करते

गुनाह था भी तो कैसा गुनाह-बे-लज़्ज़त
क़फ़स में बैठ के क्या याद-ए-रंग-ओ-बू करते

बहाना चाहती थी मौत बस न था अपना
कि मेज़बानी-ए-मेहमान-ए-हीला-ए-जु करते

दलील-ए-राह दिल-ए-शब चराग़ था तन्हा
बुलंद-ओ-पस्त में गुज़री है जुस्तुजू करते

अज़ल से जो कशिश-ए-मरकज़ी के थे पाबंद
हवा की तरह वो क्या सैर चार-सू करते

फ़लक ने भूल-भुलय्यों में डाल रक्खा था
हम उन को ढूँडते या अपनी जुस्तुजू करते

असीर-ए-हाल न मुर्दों में हैं न ज़िंदों में
ज़बान कटती है आपस में गुफ़्तुगू करते

पनाह मिलती न उम्मीद-ए-बे-वफ़ा को कहीं
हवस-नसीब अगर तर्क-ए-आरज़ू करते

  - Yagana Changezi

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yagana Changezi

As you were reading Shayari by Yagana Changezi

Similar Writers

our suggestion based on Yagana Changezi

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari