raushan tamaam kaaba o but-khaana ho gaya
ghar-ghar jamaal-e-yaar ka afsaana ho gaya
soorat-parast kab hue ma'ni se aashna
aalam fareb-e-toor ka afsaana ho gaya
chashm-e-havas hai shefta-e-husn-e-zaahiri
dil aashnaa-e-ma'ni-e-begaana ho gaya
aasaan nahin hai aag mein daanista koodna
deewaana shauq-e-wasl mein parwaana ho gaya
kaifiyat-e-hayaat thi dam bhar ki mehmaan
labreiz peete hi mera paimaana ho gaya
ashkon se jaam bhar gaye saaqi ki yaad mein
kuchh to maal-e-majlis-e-rindaana ho gaya
dair o haram bhi dhah gaye jab dil nahin raha
sab dekhte hi dekhte veeraana ho gaya
kal ki hai baat josh pe tha aalam-e-shabaab
yaad-shab-khair aaj ik afsaana ho gaya
aaina dekhta hai garebaan ko faad kar
wahshi ab apna aap hi deewaana ho gaya
kya jaane aaj khwaab mein kya dekha yaas ne
kyun chaukte hi aap se begaana ho gaya
रौशन तमाम काबा ओ बुत-ख़ाना हो गया
घर-घर जमाल-ए-यार का अफ़्साना हो गया
सूरत-परस्त कब हुए मअ'नी से आश्ना
आलम फ़रेब-ए-तूर का अफ़्साना हो गया
चश्म-ए-हवस है शेफ़्ता-ए-हुस्न-ए-ज़ाहिरी
दिल आश्ना-ए-मअ'नी-ए-बेगाना हो गया
आसाँ नहीं है आग में दानिस्ता कूदना
दीवाना शौक़-ए-वस्ल में परवाना हो गया
कैफ़ियत-ए-हयात थी दम भर की मेहमाँ
लबरेज़ पीते ही मिरा पैमाना हो गया
अश्कों से जाम भर गए साक़ी की याद में
कुछ तो मआल-ए-मजलिस-ए-रिन्दाना हो गया
दैर ओ हरम भी ढह गए जब दिल नहीं रहा
सब देखते ही देखते वीराना हो गया
कल की है बात जोश पे था आलम-ए-शबाब
यादश-ब-ख़ैर आज इक अफ़्साना हो गया
आईना देखता है गरेबाँ को फाड़ कर
वहशी अब अपना आप ही दीवाना हो गया
क्या जाने आज ख़्वाब में क्या देखा 'यास' ने
क्यूँ चौंकते ही आप से बेगाना हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yagana Changezi
our suggestion based on Yagana Changezi
As you were reading Aanch Shayari Shayari