is shehar ke surkh nazaaron mein ek zard sa qasba yaad aaya | इस शहर के सुर्ख़ नज़ारों में, एक ज़र्द- सा क़स्बा याद आया - Yogendra Dutt Sharma

is shehar ke surkh nazaaron mein ek zard sa qasba yaad aaya
din-raat ke mast ujaalon mein ek shaam ka chehra yaad aaya

is zaddojehad hangaame mein sab pyaar-mohabbat bhule the
ghar chhodate waqt ka vo tera chhoota hua jumla yaad aaya

taqdeer hai kya tadbeer hai kya yah ek qashmakash saath chali
dariya ki ufnati lehron mein ek oonghta sehra yaad aaya

taqdeer hai kya tadbeer hai kya yah ek qashmakash saath chali
dariya ki ufnati lehron mein ek oonghta sehra yaad aaya

sadiyon ki kalaa sadiyon ka hunar sadiyon ke nishaan sadiyon ka safar
phir bhi is daur ki halchal mein baghdaad ka naqsha yaad aaya

ganga ka naman jamuna ki chhuan ghalib ki ghazal meera ke bhajan
ek sabz-see basti mein akshar ek tootaa patta yaad aaya

vo shaan vo shohrat vo raunaq vo bheed vo yaaron ki mehfil
kal raat jo dekha aaina ek ped vo tanha yaad aaya

eimaan wafa qasmen vaade ahsaas vo narm farebon ke
jazbaat ke ujde gulshan mein ek pyaasa parinda yaad aaya

इस शहर के सुर्ख़ नज़ारों में, एक ज़र्द- सा क़स्बा याद आया
दिन-रात के मस्त उजालों में, एक शाम का चेहरा याद आया

इस ज़द्दोजहद, हंगामे में, सब प्यार-मुहब्बत भूले थे
घर छोड़ते वक़्त का, वो तेरा छूटा हुआ जुमला याद आया

तक़दीर है क्या, तदबीर है क्या, यह एक क़शमकश साथ चली
दरिया की उफनती लहरों में, एक ऊंघता सहरा याद आया

तक़दीर है क्या, तदबीर है क्या, यह एक क़शमकश साथ चली
दरिया की उफनती लहरों में, एक ऊंघता सहरा याद आया

सदियों की कला, सदियों का हुनर, सदियों के निशां, सदियों का सफ़र
फिर भी इस दौर की हलचल में, बग़दाद का नक़्शा याद आया

गंगा का नमन, जमुना की छुअन, ग़ालिब की ग़ज़ल, मीरा के भजन
एक सब्ज़-सी बस्ती में अक्सर एक टूटता पत्ता याद आया

वो शान, वो शोहरत, वो रौनक़, वो भीड़, वो यारों की महफ़िल
कल रात जो देखा आईना, एक पेड़ वो तनहा याद आया

ईमान, वफ़ा, क़स्में, वादे, अहसास, वो नर्म फ़रेबों के
जज़्बात के उजड़े गुलशन में, एक प्यासा परिंदा याद आया

- Yogendra Dutt Sharma
1 Like

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Yogendra Dutt Sharma

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari