nasha aasmaan ko chadhe to chaand se bhi sawaal kiya karo
quli aaftaab ke ho to apna sira na laal kiya karo
mere dil ke ek akhaade mein kai daanv yaadon ke lagte hain
kabhi ik-do daav dikha ke tum bhi yahan kamaal kiya karo
nahin sach hai gar ye janam ki baatein to maut se raza hai khuda
qaza dena tum haseen zindagi bhale hi muhaal kiya karo
jahaan shaakh bo ke ugaai ja rahi hain ye dushmani ki jaden
wahin mitti khod ke apne dost se haal-chaal kiya karo
mere aansuon mein palat di jaati hain yaadon ki sabhi kashtiyaan
mere maanjhi mera nahin to apna hi kuchh khyaal kiya karo
chitaa pe bhi aag laga ke punya na mil saka kabhi achyutam
koi aur wajah nahin ho to isee ka malaal kiya karo
नशा आसमाँ को चढ़े तो चाँद से भी सवाल किया करो
क़ुली आफ़ताब के हो तो अपना सिरा न लाल किया करो
मिरे दिल के एक अखाड़े में कई दाँव यादों के लगते हैं
कभी इक-दो दाव दिखा के तुम भी यहाँ कमाल किया करो
नहीं सच है ग़र ये जनम की बातें तो मौत से रज़ा है ख़ुदा
क़ज़ा देना तुम हसीं ज़िंदगी भले ही मुहाल किया करो
जहाँ शाख़ बो के उगाई जा रही हैं ये दुश्मनी की जड़ें
वहीं मिट्टी खोद के अपने दोस्त से हाल-चाल किया करो
मिरे आँसुओं में पलट दी जाती हैं यादों की सभी कश्तियाँ
मिरे माँझी मेरा नहीं तो अपना ही कुछ ख़याल किया करो
चिता पे भी आग लगा के पुण्य न मिल सका कभी अच्युतम
कोई और वजह नहीं हो तो इसी का मलाल किया करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Zindagi Shayari Shayari