tanaa se to fazaa ka taash nikla
shajar ka patta hi badmaash nikla
na suraj hai qamar hai aur na taara
akela kaise ye aakaash nikla
gaban karti rahi hai satah uski
jo bhi gehraai se ayyaash nikla
sadaqat dekhna aankhon ne seekha
ye mera kaan hi qallaash nikla
zara si dhoop ne bhi thand jab di
to munh se chaanv ke shaabaash nikla
jo paaya vo lakeeron mein nahin tha
main rab se bhi bada naqqaash nikla
तना से तो फ़ज़ा का ताश निकला
शजर का पत्ता ही बदमाश निकला
न सूरज है क़मर है और न तारा
अकेले कैसे ये आकाश निकला
ग़बन करती रही है सतह उसकी
जो भी गहराई से अय्याश निकला
सदाक़त देखना आँखों ने सीखा
ये मेरा कान ही क़ल्लाश निकला
ज़रा सी धूप ने भी ठंड जब दी
तो मुँह से छाँव के शाबाश निकला
जो पाया वो लकीरों में नहीं था
मैं रब से भी बड़ा नक़्क़ाश निकला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Ujaala Shayari Shayari