husn ki nakl-makaani se mar jaate hain | हुस्न की नक्ल-मकानी से मर जाते हैं - Adarsh Roy

husn ki nakl-makaani se mar jaate hain
ham kitni aasaani se mar jaate hain

kuchh mar jaate hain uski aamad bhar se
aur baaki hairaani se mar jaate hain

apni maut ko rone-gaane waale log
waqt ki aana-kaani se mar jaate hain

qudrat ne kya soch rakha hai duniya ka
saare pyaase paani se mar jaate hain

itna bojh badhaata hai oolaa misra
sunne waale saani se mar jaate hain

हुस्न की नक्ल-मकानी से मर जाते हैं
हम कितनी आसानी से मर जाते हैं

कुछ मर जाते हैं उसकी आमद भर से
और बाक़ी हैरानी से मर जाते हैं

अपनी मौत को रोने-गाने वाले लोग
वक़्त की आना-कानी से मर जाते हैं

क़ुदरत ने क्या सोच रखा है दुनिया का
सारे प्यासे पानी से मर जाते हैं

इतना बोझ बढ़ाता है ऊला मिसरा
सुनने वाले सानी से मर जाते हैं

- Adarsh Roy
1 Like

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Adarsh Roy

As you were reading Shayari by Adarsh Roy

Similar Writers

our suggestion based on Adarsh Roy

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari