jo chehre ki mujhe ik aarzoo hain
usi chehre ka hi to aks tu hai
kabhi tasveer mein dekha tha jisko
usi se aaj pehli guftugoo hai
khamoshi mein koi awaaz aaye
samajh lena koi to faaltu hai
kahaani mein naye kirdaar aaye
kahaani mein tamasha hoo-b-hoo hai
जो चेहरे की मुझे इक आरज़ू हैं
उसी चेहरे का ही तो अक्स तू है
कभी तस्वीर में देखा था जिसको
उसी से आज पहली गुफ़्तुगू है
खमोशी में कोई आवाज़ आए
समझ लेना कोई तो फ़ालतू है
कहानी में नए किरदार आए
कहानी में तमाशा हू-ब-हू है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajay Kumar
our suggestion based on Ajay Kumar
As you were reading Protest Shayari Shayari