udaasi aur gham hain yaar apne
yahi hain masale do chaar apne
meri bhi ye kahaani roz ki hai
use bhi yaad hain kirdaar apne
kahi baad-e-saba paagal hui hai
kisi ne khole hain gulzaar apne
jo uski camera se photo kheeche
usi ko deti hai deedaar apne
koi aabaad kaise hi rahe phir
tamasha karte hain har baar apne
उदासी और ग़म हैं यार अपने
यही हैं मसअले दो चार अपने
मेरी भी ये कहानी रोज़ की है
उसे भी याद हैं किरदार अपने
कहीं बाद-ए-सबा पागल हुई है
किसी ने खोले हैं गुलज़ार अपने
जो उसकी कैमरे से फोटो खींचे
उसी को देती है दीदार अपने
कोई आबाद कैसे ही रहे फिर
तमाशा करते हैं हर बार अपने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajay Kumar
our suggestion based on Ajay Kumar
As you were reading Bhai Shayari Shayari