jaise aseer ho ke rihaa ik azaab se
koi nikal ke aa gaya hai apne khwaab se
aankhon se raat bhar yahan bahti hai ik nadi
main subh faslen seenchta hoon uske aab se
ik shab dara diya diye ne teergi ko fir
vo kar raha baraabari ab aftaab se
saaqi pila de ghoont mujhe uske chashm ki
chadhta nahin nasha mujhe tere sharaab se
sach bol ke milegi saza umr qaid ki
main dar raha hoon mulk mein is inqilaab se
muddat se gul kitaab mein rakha sahej kar
aati hai aaj bhi teri khushboo kitaab se
yun haath jodne ka saleeqa to seekh le
tu baat kar raha hai kisi kaamyaab se
do-chaar yaar ishq safar aur shaayri
ab chal rahi hai zindagi mere hisaab se
जैसे असीर हो के रिहा इक अज़ाब से
कोई निकल के आ गया है अपने ख़्वाब से
आँखों से रात भर यहाँ बहती है इक नदी
मैं सुब्ह फ़स्लें सींचता हूँ उसके आब से
इक शब डरा दिया दिये ने तीरगी को फ़िर
वो कर रहा बराबरी अब आफ़ताब से
साक़ी पिला दे घूँट मुझे उसके चश्म की
चढ़ता नहीं नशा मुझे तेरे शराब से
सच बोल के मिलेगी सज़ा उम्र क़ैद की
मैं डर रहा हूँ मुल्क़ में इस इंक़िलाब से
मुद्दत से, गुल किताब में रक्खा सहेज कर
आती है आज भी तेरी ख़ुशबू किताब से
यूँ हाथ जोड़ने का सलीक़ा तो सीख ले
तू बात कर रहा है किसी कामयाब से
दो-चार यार, इश्क़, सफ़र और शाइरी
अब चल रही है ज़िंदगी मेरे हिसाब से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by AYUSH SONI
our suggestion based on AYUSH SONI
As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari