kaise batlaaoon furqat mein kya ho gaya
dard mera jo tha la dava ho gaya
kah diya bewafa ko jo main bewafa
yaar mera mujhi se khafa ho gaya
bolkar jhooth tum kya se kya ho gaye
sach kaha main kabhi to bura ho gaya
aadmi aadmi ab raha hi nahin
aadmi aaj khud hi khuda ho gaya
ek pal ke liye door tum kya hue
jaan se jism jaise juda ho gaya
kaam se naam jab main kamaane laga
naam mere liye khud saza ho gaya
tum jo aaye khyaalon mein aisa hua
gham mera aaj yun hi hawa ho gaya
कैसे बतलाऊँ फ़ुर्क़त में क्या हो गया
दर्द मेरा जो था ला दवा हो गया
कह दिया बेवफ़ा को जो मैं बेवफ़ा
यार मेरा मुझी से ख़फ़ा हो गया
बोलकर झूठ तुम क्या से क्या हो गए
सच कहा मैं कभी तो बुरा हो गया
आदमी आदमी अब रहा ही नहीं
आदमी आज ख़ुद ही ख़ुदा हो गया
एक पल के लिए दूर तुम क्या हुए
जान से जिस्म जैसे जुदा हो गया
काम से नाम जब मैं कमाने लगा
नाम मेरे लिए ख़ुद सज़ा हो गया
तुम जो आए ख़यालों में ऐसा हुआ
ग़म मेरा आज यूँ ही हवा हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kumar Aryan
our suggestion based on Kumar Aryan
As you were reading Pollution Shayari Shayari