kidhar kin raaston se yun tu tanhaa ho ke guzri hai
main un jheelon ka paani hoon tu jinmein ro ke guzri hai
samandar qaid tha seene mein mere phir hua aisa
namak mein tu bhi apne zakham saare dho ke guzri hai
bahut bechain guzre hain mere din aur meri raatein
kahaani kis gali ki thi kahaan se ho ke guzri hai
guzarna tha hamein jin raaston se saath mein murshad
ye duniya ab wahan par kitne kaante bo ke guzri hai
kahi jo ham dikhaai den to khaamoshi se chal dena
samajhna ham nahin vo ishq jo tu kho ke guzri hai
main raaste dekhte rah jaaunga aur tu bhi mat aana
nadi bhi kya kabhi in banjaron se ho ke guzri hai
किधर किन रास्तों से यूँ तू तन्हा हो के गुज़री है
मैं उन झीलों का पानी हूँ तू जिनमें रो के गुज़री है
समंदर क़ैद था सीने में मेरे फिर हुआ ऐसा
नमक में तू भी अपने ज़ख़्म सारे धो के गुज़री है
बहुत बेचैन गुज़रे हैं मेरे दिन और मेरी रातें
कहानी किस गली की थी कहाँ से हो के गुज़री है
गुज़रना था हमें जिन रास्तों से साथ में मुर्शद
ये दुनिया अब वहाँ पर कितने काँटें बो के गुज़री है
कहीं जो हम दिखाई दें तो ख़ामोशी से चल देना
समझना हम नहीं वो इश्क़ जो तू खो के गुज़री है
मैं रस्ते देखते रह जाऊँगा और तू भी मत आना
नदी भी क्या कभी इन बंजरों से हो के गुज़री है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by ABHIJIT SINGH
our suggestion based on ABHIJIT SINGH
As you were reading Paani Shayari Shayari