apni pareshaani ye vo phir kis liye zaahir kare
hai ilm jab gham ki numaish bas yahan baahir kare
gar hai tamasha hi banaana dost mere haal ka
mere gunaahon ki parakh koi hasan maahir kare
main khol kar rakh doon yahin par zakham sabke saamne
jaise dikhaava husn ka bazaar mein ahir kare
is dard ko jaane wahi jo khud alam se ho bhara
bas dard kaate dard ko is rooh ko taahir kare
naakaam koshish hai sabhi har shakhs hai naakaam sa
naakaam ham sab ho gaye ab jo kare qaahir kare
bezaar si main ho rahi hoon khaak is andoh mein
marham sabhi naakaam hain charagari saahir kare
अपनी परेशानी ये वो फिर किस लिए ज़ाहिर करे
है इल्म जब ग़म की नुमाइश बस यहाँ बाहिर करे
गर है तमाशा ही बनाना दोस्त मेरे हाल का
मेरे गुनाहों की परख कोई हसन माहिर करे
मैं खोल कर रख दूँ यहीं पर ज़ख़्म सबके सामने
जैसे दिखावा हुस्न का बाज़ार में आहिर करे
इस दर्द को जाने वही जो ख़ुद अलम से हो भरा
बस दर्द काटे दर्द को इस रूह को ताहिर करे
नाकाम कोशिश है सभी हर शख़्स है नाकाम सा
नाकाम हम सब हो गए अब जो करे क़ाहिर करे
बेज़ार सी मैं हो रही हूॅं ख़ाक इस अंदोह में
मरहम सभी नाकाम हैं चारागरी साहिर करे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rubal
our suggestion based on Rubal
As you were reading Dosti Shayari Shayari