har bad-zubaan se door hoon har baa-zubaan se door
aql-o-khird ki qaid se wahm-o-gumaan se door
bazm-e-tarab kharosh me shaamil hain sab raqeeb
le chal mere khayal mujhe ab yahan se door
us jagah meri qabr banaana ai mere dost
unke makaan ke paas rahoon la-makaan se door
हर बद-ज़ुबाँ से दूर हूँ हर बा-ज़ुबाँ से दूर
अक़्ल-ओ-ख़िरद की क़ैद से वहम-ओ-गुमाँ से दूर
बज़्म-ए-तरब ख़रोश मे शामिल हैं सब रक़ीब
ले चल मेरे ख़याल मुझे अब यहाँ से दूर
उस जगह मेरी क़ब्र बनाना ऐ मेरे दोस्त
उनके मकाँ के पास रहूँ ला-मकाँ से दूर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Salman Yusuf
our suggestion based on Salman Yusuf
As you were reading Sazaa Shayari Shayari