ek tootaa taara | "एक टूटता तारा" - Chandrapal singh nishad

ek tootaa taara

vo jise tum chahte ho
tumko mil jaaye
mera gulaab murjha gaya yahi sahi
tumhaara gulaab khil jaaye
aasmaan mein tootaa taara dekh
tumne ek baar mujhe maanga tha
bataaya tha mujhe ki
taaron ke tootne se
dua qubool hoti hai
dil mein sacchi chaah ho to
duniya milaane ko majboor hoti hai
mein meri maa ka taara hoon
teri khaatir toot jaaun
main kya mera kya
tu khil jaaye
main teri khushi ke khaatir
hazaar baar sookh jaaun

"एक टूटता तारा"

वो जिसे तुम चाहते हो
तुमको मिल जाए
मेरा गुलाब मुरझा गया यही सही
तुम्हारा गुलाब खिल जाए
आसमाँ में टूटता तारा देख
तुमने एक बार मुझे मांगा था
बताया था मुझे कि
तारों के टूटने से
दुआ क़ुबूल होती है
दिल में सच्ची चाह हो तो
दुनिया मिलाने को मजबूर होती है
में मेरी माँ का तारा हूँ
तेरी खातिर टूट जाऊँ
मैं क्या मेरा क्या
तू खिल जाए
मैं तेरी ख़ुशी के ख़ातिर
हज़ार बार सूख जाऊँ

- Chandrapal singh nishad
2 Likes

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Chandrapal singh nishad

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari