asar us pal ka ab is pal mein hota hai
jo us pal khoya us ko aaj rota hai
gawara saath pal bhar ka na ho jis ko
akela bojh apne tan ka dhota hai
jo mitti hone waala ho kisi pal jab
usi pal mein kahin apnon ko khota hai
sukoon kii dekhni ho shakl jo tum ko
to dekho tifl ko kis shakl sota hai
khabar aate hue pal kii nahin jis ko
bashar vo to kai sapne piroota hai
zabaan se dil kii hai ranjish ab is darja
kuchh aur hai kaatta kuchh aur jo bota hai
yun to chalta raha hoon bheed mein mil kar
safar tanhaa magar har dam ka hota hai
असर उस पल का अब इस पल में होता है
जो उस पल खोया उस को आज रोता है
गवारा साथ पल भर का न हो जिस को
अकेले बोझ अपने तन का ढोता है
जो मिट्टी होने वाला हो किसी पल जब
उसी पल में कहीं अपनों को खोता है
सुकूँ की देखनी हो शक्ल जो तुम को
तो देखो तिफ़्ल को किस शक्ल सोता है
ख़बर आते हुए पल की नहीं जिस को
बशर वो तो कई सपने पिरोता है
ज़बाँ से दिल की है रंजिश अब इस दर्जा
कुछ और है काटता कुछ और जो बोता है
यूँ तो चलता रहा हूँ भीड़ में मिल कर
सफ़र तन्हा मगर हर दम का होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sanjay Bhat
our suggestion based on Sanjay Bhat
As you were reading Peace Shayari Shayari