chaahne waale qayamat kii nazar rakhte hain | चाहने वाले क़यामत की नज़र रखते हैं - Sanjay Bhat

chaahne waale qayamat kii nazar rakhte hain
vo agar dekhen to dhadkan pe asar rakhte hain

vo jo har waqt nazar aate hain gum-sum be-his
dil kii tah mein kahin chaahat ka sharar rakhte hain

vo chala to gaya us dar se magar aaj bhi ham
muntazir yun hain ki har dar pe nazar rakhte hain

mere saaye se kisi ko na mila hai saaya
apne saaye ke liye khud ka shajar rakhte hain

shahad sii sheerin yun maana ki zabaan hain apni
saaf niyyat kii dilon mein to qasar rakhte hain

ye hasi apni to duniya ke liye hai lekin
ashk-baari ke liye apna hi ghar rakhte hain

zindagi lamha-b-lamha to guzaari ham ne
maut ke lamhon kii koii na khabar rakhte hain

चाहने वाले क़यामत की नज़र रखते हैं
वो अगर देखें तो धड़कन पे असर रखते हैं

वो जो हर वक़्त नज़र आते हैं गुम-सुम बे-हिस
दिल की तह में कहीं चाहत का शरर रखते हैं

वो चला तो गया उस दर से मगर आज भी हम
मुंतज़िर यूँ हैं कि हर दर पे नज़र रखते हैं

मेरे साए से किसी को न मिला है साया
अपने साए के लिए ख़ुद का शजर रखते हैं

शहद सी शीरीं यूँ माना कि ज़बाँ हैं अपनी
साफ़ निय्यत की दिलों में तो क़सर रखते हैं

ये हँसी अपनी तो दुनिया के लिए है लेकिन
अश्क-बारी के लिए अपना ही घर रखते हैं

ज़िंदगी लम्हा-ब-लम्हा तो गुज़ारी हम ने
मौत के लम्हों की कोई न ख़बर रखते हैं

- Sanjay Bhat
1 Like

Raushni Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sanjay Bhat

As you were reading Shayari by Sanjay Bhat

Similar Writers

our suggestion based on Sanjay Bhat

Similar Moods

As you were reading Raushni Shayari Shayari