dil-e-hazeen pe hazaaron sitam uthaaye hue
vo aa rahe hain mohabbat mein gham uthaaye hue
gali ko aapki apni jinaan banaayenge
chale hain aaj ye ghar se qasam uthaaye hue
hamaari tarah mohabbat ka aaj tak hamko
kahi nahin mila koi alam uthaaye hue
kahi pe teer-o-tabar to kahi pe shamshirein
khada tha haath mein koi sanam uthaaye hue
are hain vo ke nikalte nahin hain parde se
shajar to baitha hai kab se qalam uthaaye hue
दिल-ए-हज़ीं पे हज़ारों सितम उठाए हुए
वो आ रहे हैं मोहब्बत में ग़म उठाए हुए
गली को आपकी अपनी जिनाँ बनाएँगे
चले हैं आज ये घर से क़सम उठाए हुए
हमारी तरह मोहब्बत का आज तक हमको
कहीं नहीं मिला कोई अलम उठाए हुए
कहीं पे तीर-ओ-तबर तो कहीं पे शमशीरें
खड़ा था हाथ में कोई सनम उठाए हुए
अरे हैं वो के निकलते नहीं हैं परदे से
शजर तो बैठा है कब से क़लम उठाए हुए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Gaon Shayari Shayari