jaan mujh par bhi jo qurbaan kiya karta hai
vo na mujh par kabhi ehsaan kiya karta hai
dekh kar mujhko hata leta hai rukh se chilman
kaam vo mera bhi aasaan kiya karta hai
khelta hai vo mere gaalon se aur zulfon se
is qadar mujhko pareshaan kiya karta hai
kar nahin saka koi pyaar ye uske jaisa
apni khushiyaan bhi mujhe daan kiya karta hai
jaan luta doonga tumhaare liye sun lo daanish
ishq-baazi mein vo ailaan kiya karta hai
जान मुझ पर भी जो क़ुर्बान किया करता है
वो न मुझ पर कभी एहसान किया करता है
देख कर मुझको हटा लेता है रुख़ से चिलमन
काम वो मेरा भी आसान किया करता है
खेलता है वो मेरे गालों से और ज़ुल्फ़ों से
इस क़दर मुझको परेशान किया करता है
कर नहीं सकता कोई प्यार ये उसके जैसा
अपनी ख़ुशियाँ भी मुझे दान किया करता है
जाँ लुटा दूँगा तुम्हारे लिए सुन लो 'दानिश'
इश्क़-बाज़ी में वो ऐलान किया करता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Udas Shayari Shayari