kahaan jaaun kise poochoon yahin kya shaam ho jaaun
sukoon chaahoon teri aankhon se qatl-e-aam ho jaaun
teri parchaaiyaan padne se hi charche bahut honge
qareeb aa is qadar main har jagah badnaam ho jaaun
bahut koshish karoon phir bhi main tujhse mil na paaoonga
magar achha yahi hoga main bas gumnaam ho jaaun
kisi din naam se shaayad kahin tu yaad hi kar le
agar main bhi tere aashiq ka hi hamnaam ho jaaun
shuroo tumse jahaan tum ho tumhin pe khatm ho jaaye
sahi hoga agar aisi hi koii shaam ho jaaun
lagana tum na andaaza iraade jaan bhi lena
mujhe paagal samajh lena agar naakaam ho jaaun
कहाँ जाऊँ किसे पूछूँ यहीं क्या शाम हो जाऊँ
सुकूँ चाहूँ तेरी आँखों से क़त्ल-ए-आम हो जाऊँ
तेरी परछाइयाँ पड़ने से ही चर्चे बहुत होंगे
क़रीब आ इस क़दर मैं हर जगह बदनाम हो जाऊँ
बहुत कोशिश करूँ फिर भी मैं तुझसे मिल न पाऊँगा
मगर अच्छा यही होगा मैं बस गुमनाम हो जाऊँ
किसी दिन नाम से शायद कहीं तू याद ही कर ले
अगर मैं भी तेरे आशिक़ का ही हमनाम हो जाऊँ
शुरू तुमसे जहाँ तुम हो तुम्हीं पे ख़त्म हो जाए
सही होगा अगर ऐसी ही कोई शाम हो जाऊँ
लगाना तुम न अंदाज़ा इरादे जान भी लेना
मुझे पागल समझ लेना अगर नाकाम हो जाऊँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umashankar Lekhwar
our suggestion based on Umashankar Lekhwar
As you were reading Irada Shayari Shayari