kahi bhi koi khada mas'ala nahin hota | कहीं भी कोई खड़ा मस'अला नहीं होता

  - Mohammad Aquib Khan

kahi bhi koi khada mas'ala nahin hota
tumhaare naam ka jo tazkira nahin hota

agar main john ko pehle zara sa padh leta
to mere saath mein phir haadsa nahin hota

bhale zaheen ho mazboot ho bahut lekin
kabhi bhi baap se beta bada nahin hota

idhar main zindagi ko tum pe haare baitha hoon
udhar mein tumse bas ik faisla nahin hota

agar vo jaanta sayaad ki khuraak hai vo
to phir parinda kaaf se rihaa nahin hota

tumhaare baad to aisa shajar bana hai dil
kisi bhi mausamon mein jo haraa nahin hota

ye jaante the muhabbat ka bura hai anjaam
kisi ke saath par itna bura nahin hota

bharam sabhi ke fakat jaljalon nen tod diye
jo kah rahe the ke koi khuda nahin hota

kuchh ek pedon ke saanpo se bhi maraasim hain
har ek ped mein to ghonsla nahin hota

कहीं भी कोई खड़ा मस'अला नहीं होता
तुम्हारे नाम का जो तज़किरा नहीं होता

अगर मैं जॉन को पहले ज़रा सा पढ़ लेता
तो मेरे साथ में फिर हादसा नहीं होता

भले ज़हीन हो, मज़बूत हो बहुत लेकिन
कभी भी बाप से बेटा बड़ा नहीं होता

इधर मैं ज़िन्दगी को तुम पे हारे बैठा हूँ
उधर में तुमसे बस इक फैसला नहीं होता

अगर वो जानता सययाद की खुराक है वो
तो फिर परिंदा कफ़स से रिहा नहीं होता

तुम्हारे बाद तो ऐसा शजर बना है दिल
किसी भी मौसमों में जो हरा नहीं होता

ये जानते थे मुहब्बत का बुरा है अंजाम
किसी के साथ पर इतना बुरा नहीं होता

भरम सभी के फकत जलजलों नें तोड़ दिये
जो कह रहे थे के कोई ख़ुदा नहीं होता

कुछ एक पेड़ों के साँपो से भी मरासिम हैं
हर एक पेड़ में तो घोंसला नहीं होता

  - Mohammad Aquib Khan

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohammad Aquib Khan

As you were reading Shayari by Mohammad Aquib Khan

Similar Writers

our suggestion based on Mohammad Aquib Khan

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari