kaise banaai tu ne ye kaayenaat pyaari | कैसे बनाई तू ने ये काएनात प्यारी - Aadil Aseer Dehlvi

kaise banaai tu ne ye kaayenaat pyaari
hairaan ho rahi hai aql-o-khird hamaari
kaliyaan mahak rahi hain ej'aaz hai ye tera
khushboo kahaan se aayi ik raaz hai ye tera
bulbul ke chahchahon ne hairaan kar diya hai
insaan ke qahqahon ne hairaan kar diya hai
shashdar hoon dekh ke main udte hain kaise panchi
dariya mein dekhta hoon jaate hain kaise maanjhi
kis tarah be-sutoon ye tu ne falak banaya
aanchal ko tu ne us ke baron se jagmagaya
kis tarah ki hain paida barsaat ki ghataaein
kis tarah chal rahi hain pur-kaif ye hawaaein
dariya pahaad jungle kis tarah ban gaye hain
ye baat aql waale har waqt sochte hain
kis tarah tu ne maula insaan ko banaya
akshar main sochta hoon kaisa hai tu khudaaya

कैसे बनाई तू ने ये काएनात प्यारी
हैरान हो रही है अक़्ल-ओ-ख़िरद हमारी
कलियाँ महक रही हैं ए'जाज़ है ये तेरा
ख़ुशबू कहाँ से आई इक राज़ है ये तेरा
बुलबुल के चहचहों ने हैरान कर दिया है
इंसाँ के क़हक़हों ने हैरान कर दिया है
शश्दर हूँ देख के मैं उड़ते हैं कैसे पंछी
दरिया में देखता हूँ जाते हैं कैसे माँझी
किस तरह बे-सुतूँ ये तू ने फ़लक बनाया
आँचल को तू ने उस के बारों से जगमगाया
किस तरह की हैं पैदा बरसात की घटाएँ
किस तरह चल रही हैं पुर-कैफ़ ये हवाएँ
दरिया पहाड़ जंगल किस तरह बन गए हैं
ये बात अक़्ल वाले हर वक़्त सोचते हैं
किस तरह तू ने मौला इंसान को बनाया
अक्सर मैं सोचता हूँ कैसा है तू ख़ुदाया

- Aadil Aseer Dehlvi
1 Like

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aadil Aseer Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari