holi jab bhi aaye
pyaar ki khushiyaan laaye
rangon ke khelon mein
masti si chha jaaye
khush hain daadi naani
bacchon ki nadaani
pichkaari mein bhar kar
fenk rahe hain paani
rang rangeeli holi
chhail chhabeli holi
bacche hoon ya boodhe
sab ki saheli holi
paani ke ghubaare
rangon ke nazaare
bura na maano bhaiyya
lagte hain kya pyaare
होली जब भी आए
प्यार की ख़ुशियाँ लाए
रंगों के खेलों में
मस्ती सी छा जाए
ख़ुश हैं दादी नानी
बच्चों की नादानी
पिचकारी में भर कर
फेंक रहे हैं पानी
रंग रंगीली होली
छैल छबेली होली
बच्चे हूँ या बूढे
सब की सहेली होली
पानी के ग़ुबारे
रंगों के नज़ारे
बुरा न मानो भय्या
लगते हैं क्या प्यारे
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Aadil Aseer Dehlvi
As you were reading Dillagi Shayari Shayari