khuda ki ye baatein khuda jaanta hai | ख़ुदा की ये बातें ख़ुदा जानता है - Aadil Aseer Dehlvi

khuda ki ye baatein khuda jaanta hai

nikalta hai mashriq se kis tarah suraj
falak par chamakta hai ye chaand kyunkar
kahaan se samundar mein aate hain toofaan
ujaala hai kaisa ye shams-o-qamar par

khuda ki ye baatein khuda jaanta hai

bahaaron ka gul ko pata kis tarah hai
ada gunchon ko ye chatkane ki kyun di
kahaan se hai aaya khizaan ka ye mausam
ghatta ko ye khoobi barsne ki kyun di

khuda ki ye baatein khuda jaanta hai

ख़ुदा की ये बातें ख़ुदा जानता है

निकलता है मशरिक़ से किस तरह सूरज
फ़लक पर चमकता है ये चाँद क्यूँकर
कहाँ से समुंदर में आते हैं तूफ़ाँ
उजाला है कैसा ये शम्स-ओ-क़मर पर

ख़ुदा की ये बातें ख़ुदा जानता है

बहारों का गुल को पता किस तरह है
अदा ग़ुंचों को ये चटकने की क्यों दी
कहाँ से है आया ख़िज़ाँ का ये मौसम
घटा को ये ख़ूबी बरसने की क्यों दी

ख़ुदा की ये बातें ख़ुदा जानता है

- Aadil Aseer Dehlvi
1 Like

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aadil Aseer Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari