be-wafa to nahin hai zamaana | बे-वफ़ा तो नहीं है ज़माना

  - Prashant Kumar

be-wafa to nahin hai zamaana
tumse aaya nahin dil lagana

insey rishta hai mera puraana
in ghareebon ko ab mat sataana

jab se tooti hai saanson kii dori
dekh sadme mein hai ye zamaana

zindagi bhar tire saath hain ham
haath se haath ab mat chhudana

dekh le zindagi daav par hai
tu bhi aise hi naata nibhaana

aayegi phir qayamat samajh lo
apna parda na aise uthaana

zindagi chhod de saath jismein
mo'jiza koii aisa dikhaana

बे-वफ़ा तो नहीं है ज़माना
तुमसे आया नहीं दिल लगाना

इनसे रिश्ता है मेरा पुराना
इन ग़रीबों को अब मत सताना

जब से टूटी है साँसों की डोरी
देख सदमे में है ये ज़माना

ज़िंदगी भर तिरे साथ हैं हम
हाथ से हाथ अब मत छुड़ाना

देख ले ज़िंदगी दाव पर है
तू भी ऐसे ही नाता निभाना

आएगी फिर क़यामत समझ लो
अपना पर्दा न ऐसे उठाना

ज़िंदगी छोड़ दे साथ जिसमें
मो'जिज़ा कोई ऐसा दिखाना

  - Prashant Kumar

Bahan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Bahan Shayari Shayari