jiske ghar bhi gaye nafrat ko mita kar aaye | जिसके घर भी गए नफ़रत को मिटा कर आए - Prashant Kumar

jiske ghar bhi gaye nafrat ko mita kar aaye
ham mohabbat ka chalan sabko sikha kar aaye

rotiyaan apni kai baar chhini hain lekin
jab bhi ghar aaye to muskaan sajaakar aaye

maqtal-e-jaan mein parinde ganwa baithe sab kuchh
badi mushkil se meri jaan bachakar aaye

kya karein koii mila hi nahin lene waala
har dafa jaan hatheli pe saja kar aaye

maut ko bhi nahin maaloom ki main zinda hoon
mere qaateel to meri taak laga kar aaye

jisne har baar chalaaya mere oopar khanjar
har jagah ham to use jaan bata kar aaye

dushman-e-jaan wahi niklega khabar thodi thi
ham to dil ka use mehmaan banaakar aaye

जिसके घर भी गए नफ़रत को मिटा कर आए
हम मोहब्बत का चलन सबको सिखा कर आए

रोटियाँ अपनी कई बार छिनी हैं लेकिन
जब भी घर आए तो मुस्कान सजाकर आए

मक़्तल-ए-जाँ में परिंदे गँवा बैठे सब कुछ
बड़ी मुश्किल से मिरी जान बचाकर आए

क्या करें कोई मिला ही नहीं लेने वाला
हर दफ़ा जान हथेली पे सजा कर आए

मौत को भी नहीं मालूम कि मैं ज़िंदा हूँ
मेरे क़ातिल तो मिरी ताक लगा कर आए

जिसने हर बार चलाया मिरे ऊपर ख़ंजर
हर जगह हम तो उसे जान बता कर आए

दुश्मन-ए-जाँ वही निकलेगा ख़बर थोड़ी थी
हम तो दिल का उसे मेहमान बनाकर आए

- Prashant Kumar
1 Like

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari