soj kii raat mera dard badhaati jaaye | सोज की रात मिरा दर्द बढ़ाती जाए

  - Prashant Kumar

soj kii raat mera dard badhaati jaaye
maa ki ro ro ke kaleje se lagati jaaye

main faqiri mein ki har zakhm liye baitha hoon
aur ye duniya ki bas haath milaati jaaye

har taraf barpa hua hai koii jashn-e-maqtal
naachte gaate qaza mujhko bulaati jaaye

khud ko naaseh hi bataati thi haseena lekin
ab sar-e-aam yahi laash bichaati jaaye

vaasta kuchh bhi nahin hai mera usse phir bhi
jab bhi raste mein mile haath hilati jaaye

main ki mehmaan hoon do chaar dinon ka phir bhi
mere oopar ki vo to jaan lutaati jaaye

ginti karti hai bhikaari kii safoon mein meri
awwal awwal jo mujhe apna bataati jaaye

jhopda hai na hi latte hain na aab-o-daana
ik haseen phir bhi mujhe dil mein basaati jaaye

sada badnaam hi karne pe tuli rahti hai
kane se guzare mere haath lagati jaaye

सोज की रात मिरा दर्द बढ़ाती जाए
माँ कि रो रो के कलेजे से लगाती जाए

मैं फ़क़ीरी में कि हर ज़ख़्म लिए बैठा हूँ
और ये दुनिया कि बस हाथ मिलाती जाए

हर तरफ़ बरपा हुआ है कोई जश्न-ए-मक़्तल
नाचते गाते क़ज़ा मुझको बुलाती जाए

ख़ुद को नासेह ही बताती थी हसीना लेकिन
अब सर-ए-आम यही लाश बिछाती जाए

वास्ता कुछ भी नहीं है मिरा उससे फिर भी
जब भी रस्ते में मिले हाथ हिलाती जाए

मैं कि मेहमान हूँ दो चार दिनों का फिर भी
मेरे ऊपर कि वो तो जान लुटाती जाए

गिनती करती है भिकारी की सफ़ों में मेरी
अव्वल अव्वल जो मुझे अपना बताती जाए

झोपड़ा है न ही लत्ते हैं न आब-ओ-दाना
इक हसीं फिर भी मुझे दिल में बसाती जाए

सदा बदनाम ही करने पे तुली रहती है
कने से गुज़रे मिरे हाथ लगाती जाए

  - Prashant Kumar

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari