jabr aur ikhtiyaar se aage | जब्र और इख़्तियार से आगे - Ahmad Azeem

jabr aur ikhtiyaar se aage
kab gaye is dayaar se aage

ek aaeen hai tuloo-o-ghuroob
jaise patjhad bahaar ke aage

kaun si mamlakat ki sarhad hai
jism-o-jaan ke dayaar se aage

khaamoshi ka muheeb sehra hai
sabza-zaar-e-pukaar se aage

baarishon se khili hai hariyaali
shehr-e-gard-o-ghubaar se aage

जब्र और इख़्तियार से आगे
कब गए इस दयार से आगे

एक आईन है तुलू-ओ-ग़ुरूब
जैसे पतझड़ बहार के आगे

कौन सी मम्लिकत की सरहद है
जिस्म-ओ-जाँ के दयार से आगे

ख़ामुशी का मुहीब सहरा है
सब्ज़ा-ज़ार-ए-पुकार से आगे

बारिशों से खिली है हरियाली
शहर-ए-गर्द-ओ-ग़ुबार से आगे

- Ahmad Azeem
0 Likes

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Azeem

As you were reading Shayari by Ahmad Azeem

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Azeem

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari