khwaab to khulte the mujh par dar koi khulta na tha | ख़्वाब तो खुलते थे मुझ पर दर कोई खुलता न था - Ahmad Iftikhar khatak

khwaab to khulte the mujh par dar koi khulta na tha
aasmaan sab khul chuke the par koi khulta na tha

saamne se saare manzar saaf dikhte the magar
ek manzar aisa ki andar koi khulta na tha

jaane kaise shehar mein apne qadam padne lage
band dil ke log the khul kar koi khulta na tha

goo-magoo ke din the vo masjid koi chalti na thi
khauf ki devi ka dar mandir koi khulta na tha

ab jidhar se bhi main guzroon dekhte hain mujh ko log
mujh pe aise din bhi guzre dar koi khulta na tha

dekhta rehta tha shab bhar aasmaanon ki taraf
deedaa-e-khoon-baar se manzar koi khulta na tha

mil hi jaana tha mujhe apne lahu ka bhi suraagh
bad-naseebi thi meri khanjar koi khulta na tha

khwaab dekha aarzoo-e-shehar mein vo iftikhaar
sab guzarte the magar mujh par koi khulta na tha

ख़्वाब तो खुलते थे मुझ पर दर कोई खुलता न था
आसमाँ सब खुल चुके थे पर कोई खुलता न था

सामने से सारे मंज़र साफ़ दिखते थे मगर
एक मंज़र ऐसा कि अंदर कोई खुलता न था

जाने कैसे शहर में अपने क़दम पड़ने लगे
बंद दिल के लोग थे खुल कर कोई खुलता न था

गू-मगू के दिन थे वो मस्जिद कोई चलती न थी
ख़ौफ़ की देवी का डर मंदिर कोई खुलता न था

अब जिधर से भी मैं गुज़रूँ देखते हैं मुझ को लोग
मुझ पे ऐसे दिन भी गुज़रे दर कोई खुलता न था

देखता रहता था शब भर आसमानों की तरफ़
दीदा-ए-ख़ूँ-बार से मंज़र कोई खुलता न था

मिल ही जाना था मुझे अपने लहू का भी सुराग़
बद-नसीबी थी मिरी ख़ंजर कोई खुलता न था

ख़्वाब देखा आरज़ू-ए-शहर में वो 'इफ़्तिख़ार'
सब गुज़रते थे मगर मुझ पर कोई खुलता न था

- Ahmad Iftikhar khatak
0 Likes

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Iftikhar khatak

As you were reading Shayari by Ahmad Iftikhar khatak

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Iftikhar khatak

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari