hisaar-e-zaat se baahar nikal ke dekh liya
zamaane ham ne tire saath chal ke dekh liya
mila na ham ko zara bhi qaraar duniya mein
qadam mila ke tire saath chal ke dekh liya
wahi hai teera-shabee aur wahi hai sannaata
khala mein door bahut door chal ke dekh liya
jala na deep koi chaahaton ka raaste mein
hujoom-e-shahr mein tanhaa bhi chal ke dekh liya
ata hua na hamein koi tamgha-e-ulfat
tumhaare rang mein ham ne bhi dhal ke dekh liya
hue na aaj talak ham shumaar zindon mein
har ik libaas badan ka badal ke dekh liya
हिसार-ए-ज़ात से बाहर निकल के देख लिया
ज़माने हम ने तिरे साथ चल के देख लिया
मिला न हम को ज़रा भी क़रार दुनिया में
क़दम मिला के तिरे साथ चल के देख लिया
वही है तीरा-शबी और वही है सन्नाटा
ख़ला में दूर बहुत दूर चल के देख लिया
जला न दीप कोई चाहतों का रस्ते में
हुजूम-ए-शहर में तन्हा भी चल के देख लिया
अता हुआ न हमें कोई तमग़ा-ए-उलफ़त
तुम्हारे रंग में हम ने भी ढल के देख लिया
हुए न आज तलक हम शुमार ज़िंदों में
हर इक लिबास बदन का बदल के देख लिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Raees
our suggestion based on Ahmad Raees
As you were reading Raasta Shayari Shayari