qaba-e-jaan ko sar-e-raah taar-taar na kar | क़बा-ए-जाँ को सर-ए-राह तार-तार न कर - Ahmad Raees

qaba-e-jaan ko sar-e-raah taar-taar na kar
ye zindagi hai ise nazr-e-intishaar na kar

ham ahl-e-dil hain mohabbat hamaara sheva hai
hamaare saath siyaasat ka kaarobaar na kar

juda hua hai to mujh ko na dhundh raston par
bichhad gaya hai to ab mera intizaar na kar

hamein na dekh hamaare amal ki kar tauqeer
vajood-e-asl-e-haqeeqat ko sangsaar na kar

qubool ham ko tiri be-rukhi ka har andaaz
magar tu yun sar-e-bazaar ham pe vaar na kar

uchaal phir na fazaa mein lahu ki ye boonden
sitam ki teg ko yaaron ke dil ke paar na kar

क़बा-ए-जाँ को सर-ए-राह तार-तार न कर
ये ज़िंदगी है इसे नज़्र-ए-इंतिशार न कर

हम अहल-ए-दिल हैं मोहब्बत हमारा शेवा है
हमारे साथ सियासत का कारोबार न कर

जुदा हुआ है तो मुझ को न ढूँड रस्तों पर
बिछड़ गया है तो अब मेरा इंतिज़ार न कर

हमें न देख हमारे अमल की कर तौक़ीर
वजूद-ए-अस्ल-ए-हक़ीक़त को संगसार न कर

क़ुबूल हम को तिरी बे-रुख़ी का हर अंदाज़
मगर तू यूँ सर-ए-बाज़ार हम पे वार न कर

उछाल फिर न फ़ज़ा में लहू की ये बूँदें
सितम की तेग़ को यारों के दिल के पार न कर

- Ahmad Raees
0 Likes

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Raees

As you were reading Shayari by Ahmad Raees

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Raees

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari