mila vo shakhs magar arsa-e-bahaar ke baad
hazaar chaand sitaaron ke intizaar ke baad
zameen pe phool khile hain to kis zamaane mein
mohabbaton se mehakte hue dayaar ke baad
tiri talash mein nikle hain laakh deewane
bade azaab bade zulm-o-intishaar ke baad
hazaar ahl-e-tamanna se ham-kalaam raha
magar mili na tasalli sukoot-e-yaar ke baad
hamaara haal to us se kahe koi ja kar
ki intizaar hai us ka har intizaar ke baad
charaagh-e-laala-o-gul hain ki hain bahut raushan
wahi bahaar hai har mausam-e-bahaar ke baad
मिला वो शख़्स मगर अर्सा-ए-बहार के बाद
हज़ार चाँद सितारों के इंतिज़ार के बाद
ज़मीं पे फूल खिले हैं तो किस ज़माने में
मोहब्बतों से महकते हुए दयार के बाद
तिरी तलाश में निकले हैं लाख दीवाने
बड़े अज़ाब बड़े ज़ुल्म-ओ-इंतिशार के बाद
हज़ार अहल-ए-तमन्ना से हम-कलाम रहा
मगर मिली न तसल्ली सुकूत-ए-यार के बाद
हमारा हाल तो उस से कहे कोई जा कर
कि इंतिज़ार है उस का हर इंतिज़ार के बाद
चराग़-ए-लाला-ओ-गुल हैं कि हैं बहुत रौशन
वही बहार है हर मौसम-ए-बहार के बाद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Raees
our suggestion based on Ahmad Raees
As you were reading Rose Shayari Shayari