jiyo jeene do logon ko sabhi ko shaad rahne do | जियो जीने दो लोगों को सभी को शाद रहने दो - Ahmad Raees

jiyo jeene do logon ko sabhi ko shaad rahne do
ye duniya khoobsurat hai ise aabaad rahne do

na phir bharkaao sholoon ko na rakho bam kitaabon mein
ye bacche phool se bacche hain in ko shaad rahne do

dhuaan shaahzaadi ye dharti lahu ki baarishen hongi
na itna zulm farmao humein aabaad rahne do

ye jannat hai ise jannat-kada hi ta-abad rakhna
yahan ke zarre zarre ko gul-o-shamshaad rahne do

karo elaan khushiyon ka bahaaron ke taraanon ka
har ik aangan ko basti ke mere aabaad rahne do

qayamat aayi to sab raakh ho jaayega ye gulshan
sitam ki dhoop se is ko abhi azaad rahne do

badi qurbaaniyaan de kar ise hum ne tarasha hai
isee paikar se waabasta haseen har yaad rahne do

जियो जीने दो लोगों को सभी को शाद रहने दो
ये दुनिया ख़ूबसूरत है इसे आबाद रहने दो

न फिर भड़काओ शो'लों को न रक्खो बम किताबों में
ये बच्चे फूल से बच्चे हैं इन को शाद रहने दो

धुआँ उगलेगी ये धरती लहू की बारिशें होंगी
न इतना ज़ुल्म फ़रमाओ हमें आबाद रहने दो

ये जन्नत है इसे जन्नत-कदा ही ता-अबद रखना
यहाँ के ज़र्रे ज़र्रे को गुल-ओ-शमशाद रहने दो

करो एलान ख़ुशियों का बहारों के तरानों का
हर इक आँगन को बस्ती के मिरे आबाद रहने दो

क़यामत आई तो सब राख हो जाएगा ये गुलशन
सितम की धूप से इस को अभी आज़ाद रहने दो

बड़ी क़ुर्बानियाँ दे कर इसे हम ने तराशा है
इसी पैकर से वाबस्ता हसीं हर याद रहने दो

- Ahmad Raees
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Raees

As you were reading Shayari by Ahmad Raees

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Raees

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari