aate aate kidhar gai khushboo | आते आते किधर गई ख़ुशबू - Ahmad Raees

aate aate kidhar gai khushboo
raaste mein bikhar gai khushboo

us ko dhundhun to ab kahaan dhundhun
rooth kar kis ke ghar gai khushboo

ek do pal rahi rafeeq-e-safar
phir na jaane kidhar gai khushboo

qalb-ta-qalb raushni ban kar
jism-o-jaan mein utar gai khushboo

phool ban kar khili vo haathon mein
aur phir khud bikhar gai khushboo

meri saanson mein ghar kiya us ne
mere andar utar gai khushboo

aaj ehsaas ho raha hai raeis
waqt se pehle mar gai khushboo

आते आते किधर गई ख़ुशबू
रास्ते में बिखर गई ख़ुशबू

उस को ढूँडूँ तो अब कहाँ ढूँडूँ
रूठ कर किस के घर गई ख़ुशबू

एक दो पल रही रफ़ीक़-ए-सफ़र
फिर न जाने किधर गई ख़ुशबू

क़ल्ब-ता-क़ल्ब रौशनी बन कर
जिस्म-ओ-जाँ में उतर गई ख़ुशबू

फूल बन कर खिली वो हाथों में
और फिर ख़ुद बिखर गई ख़ुशबू

मेरी साँसों में घर किया उस ने
मेरे अंदर उतर गई ख़ुशबू

आज एहसास हो रहा है 'रईस'
वक़्त से पहले मर गई ख़ुशबू

- Ahmad Raees
0 Likes

Jazbaat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Raees

As you were reading Shayari by Ahmad Raees

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Raees

Similar Moods

As you were reading Jazbaat Shayari Shayari