duniya sabhi baatil ki talabgaar lage hai
jis rooh ko dekho wahi beemaar lage hai
jab bhook se mar jaata hai dorahe pe koi
basti ka har ik shakhs gunahgaar lage hai
shaayad nayi tahzeeb ki meraaj yahi hai
haq-go hi zamaane mein khata-kaar lage hai
vo teri wafa ki ho ki duniya ki jafaa ki
mat chhed koi baat ki talwaar lage hai
kya zarf hai har zulm pe khaamosh hai duniya
is daur ka insaan pur-asraar lage hai
jis ne kabhi dariya ka talaatum nahin dekha
saahil bhi use door se majhndaar lage hai
दुनिया सभी बातिल की तलबगार लगे है
जिस रूह को देखो वही बीमार लगे है
जब भूक से मर जाता है दोराहे पे कोई
बस्ती का हर इक शख़्स गुनहगार लगे है
शायद नई तहज़ीब की मेराज यही है
हक़-गो ही ज़माने में ख़ता-कार लगे है
वो तेरी वफ़ा की हो कि दुनिया की जफ़ा की
मत छेड़ कोई बात कि तलवार लगे है
क्या ज़र्फ़ है हर ज़ुल्म पे ख़ामोश है दुनिया
इस दौर का इंसान पुर-असरार लगे है
जिस ने कभी दरिया का तलातुम नहीं देखा
साहिल भी उसे दूर से मझंदार लगे है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Shahid Khan
our suggestion based on Ahmad Shahid Khan
As you were reading Diversity Shayari Shayari