saara aalam dhuaan dhuaan kyun hai
har taraf aah aur fugaan kyun hai
band hai aaj kya dar-e-rahmat
har dua meri raayegaan kyun hai
pee liya kya sitam ne aab-e-hayaat
khauf se band har zabaan kyun hai
saath chalti hai mere har jaanib
is qadar barq meherbaan kyun hai
aa ke saahil pe kaun doob gaya
mauj ki har ada jawaan kyun hai
jism hai rooh mar chuki kab ki
marg pe zeest ka gumaan kyun hai
jab fana hi naseeb hai sab ka
phir ye hangaama-e-jahaan kyun hai
सारा आलम धुआँ धुआँ क्यूँ है
हर तरफ़ आह और फ़ुग़ाँ क्यूँ है
बंद है आज क्या दर-ए-रहमत
हर दुआ मेरी राएगाँ क्यूँ है
पी लिया क्या सितम ने आब-ए-हयात
ख़ौफ़ से बंद हर ज़बाँ क्यूँ है
साथ चलती है मेरे हर जानिब
इस क़दर बर्क़ मेहरबाँ क्यूँ है
आ के साहिल पे कौन डूब गया
मौज की हर अदा जवाँ क्यूँ है
जिस्म है रूह मर चुकी कब की
मर्ग पे ज़ीस्त का गुमाँ क्यूँ है
जब फ़ना ही नसीब है सब का
फिर ये हंगामा-ए-जहाँ क्यूँ है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Shahid Khan
our suggestion based on Ahmad Shahid Khan
As you were reading Relationship Shayari Shayari