junoon ki rasm zamaane mein aam ho na saki
havas thi chaah wafa ki ghulaam ho na saki
likhe the daar-o-rasan jis kisi ki qismat mein
phir us ki zulf ke saaye mein shaam ho na saki
meri udaasi ka bais shab-e-firaq nahin
basar ye raat b-sad-ehtimaam ho na saki
meri nigaah uthi hi rahi soo-e-jaanaan
tajalliyon mein ghiri ham-kalaam ho na saki
rawa jahaan ko ki majnoon ko sangsaar kare
qaba-e-zeest junoon ki niyaam ho na saki
khird ki baat bhi sunte kahaan mili furqat
junoon ki baat lahd tak tamaam ho na saki
जुनूँ की रस्म ज़माने में आम हो न सकी
हवस थी चाह वफ़ा की ग़ुलाम हो न सकी
लिखे थे दार-ओ-रसन जिस किसी की क़िस्मत में
फिर उस की ज़ुल्फ़ के साए में शाम हो न सकी
मिरी उदासी का बाइ'स शब-ए-फ़िराक़ नहीं
बसर ये रात ब-सद-एहतिमाम हो न सकी
मिरी निगाह उठी ही रही सू-ए-जानाँ
तजल्लियों में घिरी हम-कलाम हो न सकी
रवा जहाँ को कि मजनूँ को संगसार करे
क़बा-ए-ज़ीस्त जुनूँ की नियाम हो न सकी
ख़िरद की बात भी सुनते कहाँ मिली फ़ुर्सत
जुनूँ की बात लहद तक तमाम हो न सकी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Shahid Khan
our suggestion based on Ahmad Shahid Khan
As you were reading Aam Shayari Shayari