jab tak ghubaar-e-raah mera hum-safar raha | जब तक ग़ुबार-ए-राह मिरा हम-सफ़र रहा - Ahmad Shahid Khan

jab tak ghubaar-e-raah mera hum-safar raha
rasta to tha taveel magar mukhtasar raha

har chand ho gaya hai surayyaa se bhi buland
lekin shajar jafaa ka sada be samar raha

ahl-e-junoon ne tod diye vo hisaar bhi
hosh-o-khird ka tesha jahaan be-zarar raha

ye may-kada hai jaaye ibadat hai rind ki
duniya ka har fareb yahan be asar raha

fasl-e-khizaan mein is ka koi tazkira nahin
sadiyon talak bahaar ka jo raahbar raha

जब तक ग़ुबार-ए-राह मिरा हम-सफ़र रहा
रस्ता तो था तवील मगर मुख़्तसर रहा

हर चंद हो गया है सुरय्या से भी बुलंद
लेकिन शजर जफ़ा का सदा बे समर रहा

अहल-ए-जुनूँ ने तोड़ दिए वो हिसार भी
होश-ओ-ख़िरद का तेशा जहाँ बे-ज़रर रहा

ये मय-कदा है जाए इबादत है रिंद की
दुनिया का हर फ़रेब यहाँ बे असर रहा

फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ में इस का कोई तज़्किरा नहीं
सदियों तलक बहार का जो राहबर रहा

- Ahmad Shahid Khan
0 Likes

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Shahid Khan

As you were reading Shayari by Ahmad Shahid Khan

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Shahid Khan

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari