dil ki khwaahish badhte badhte toofaan hoti jaati hai
zar ki chaahat ab logon ka eemaan hoti jaati hai
pyaar mohabbat hamdardi ke rishte the insaano mein
dil waalon ko ab ye duniya zindaan hoti jaati hai
marghat ka sa sannaata hai ghar kooche bazaaron mein
dil ki basti rafta rafta veeraan hoti jaati hai
insaano ke khun ke pyaase aur nahin khud insaan hain
aql bichaari dekh ke duniya hairaan hoti jaati hai
jhoote wa'de sunte sunte sapne chakna-choor hue
maayusi be-zaari dil mein mehmaan hoti jaati hai
दिल की ख़्वाहिश बढ़ते बढ़ते तूफ़ाँ होती जाती है
ज़र की चाहत अब लोगों का ईमाँ होती जाती है
प्यार मोहब्बत हमदर्दी के रिश्ते थे इंसानों में
दिल वालों को अब ये दुनिया ज़िंदाँ होती जाती है
मरघट का सा सन्नाटा है घर कूचे बाज़ारों में
दिल की बस्ती रफ़्ता रफ़्ता वीराँ होती जाती है
इंसानों के ख़ूँ के प्यासे और नहीं ख़ुद इंसाँ हैं
अक़्ल बिचारी देख के दुनिया हैराँ होती जाती है
झूटे वा'दे सुनते सुनते सपने चकना-चूर हुए
मायूसी बे-ज़ारी दिल में मेहमाँ होती जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Shahid Khan
our suggestion based on Ahmad Shahid Khan
As you were reading Mehman Shayari Shayari