le ke phir zakhamon ki sougaat bahaaro aao
chashm-e-pur-nam ke muqaabil to fuhaaro aao
chand tinkon ka jalana to badi baat nahin
azm ko mere jalao to sharaaro aao
gham ka sailaab gazab dil ki shikasta kashti
mauj ke saath hi yaadon ke kinaaro aao
takte rahte ho kise door se hairaani se
dil ke sehra mein kabhi chaand sitaaro aao
aamad-e-yaar ho har samt kanwal khulte hoon
khwaab mein hi kabhi rangeen nazaaro aao
ले के फिर ज़ख़्मों की सौग़ात बहारो आओ
चश्म-ए-पुर-नम के मुक़ाबिल तो फुहारो आओ
चंद तिनकों का जलाना तो बड़ी बात नहीं
अज़्म को मेरे जलाओ तो शरारो आओ
ग़म का सैलाब ग़ज़ब दिल की शिकस्ता कश्ती
मौज के साथ ही यादों के किनारो आओ
तकते रहते हो किसे दूर से हैरानी से
दिल के सहरा में कभी चाँद सितारो आओ
आमद-ए-यार हो हर सम्त कँवल खुलते हूँ
ख़्वाब में ही कभी रंगीन नज़ारो आओ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Shahid Khan
our suggestion based on Ahmad Shahid Khan
As you were reading I Miss you Shayari Shayari